apne shehar ki galiyan yaad aatin hain.,
ghar ki chaukhat roj bulatin hain,
hain itni mazbooriyan ki apno se door hain,
warna ye paun ghar ke taraf hie chalna chahtin hain,
wo maa ka thappi de kar sulana,
papa ka cycle sikhna- yaad aat hai,
pichhe -pichhe bhag kar maa khana khilati thi,
wo kaan aethna- yaad aata hai,
nikale itne door ke hum,
har raaste mein ghar ka pata nazar aata hai,,
school jate hue paise dena,
thak gaya toa pair dabana,
shham ke samay papa ka bazaar ghumana,
yaad aata hai.
sapno ke shehar mein jo apne chhut gayein hain,
wo samajh kar bhi samajh nahin aata hai,
bhai ke saath khelna aur usse jjhagarna,
uske kadmon ke nishan ke pichhe,,
apne kadmon ke nishan banana- yaad aata hai.
iss dhul bhare shehar mein,
apne ghar ka har phhol yaad aata hai.
doston ke saath ghumna,
chai ke saath baatein ghumana,
jis chaurahe pe bichhard gaye hain,
wo chauraha yaad aata hai,
har mod pe ek naya raasta nazar aata hai,
nikle the kahin aur pahunche hain kahin,
manzeelon ke safar mein,
har raaste pe bhatakna,
yaad aata hai